Thursday, May 17, 2012

[nidokidos] Ammi ki yaad mein ! ! !

 

 

 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Click here to express your comments on the poetry of Yasmeen Elahi
You can also post you poetry at nidokidos forum - click here to register , click here to see other members postings in poertry section.
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Ammi ki yaad mein ! ! !
 
        Barson pehle mein ne ye Nazm apni Ammi ke achanak inteqaal pe likhi thee
 
 
 
    Ae Maan teri khaamosh si hastee mere lye
 
    Kisi neimat, kisi daulat se nahin thee kum!
 
    Tere seene se jo uthti thi mumta ki mehak
 
    Dil ke zakhmon ko wo marhum se nahin thee kum
 
    Kya hua khamosh agar tu rehti thi
 
    Mere dukhon ka bojh tha tere dil par
 
    Tu samajhti thi meri zeest hai kitni mushkil
 
    Dard mera har ik sehti thi Tu apne dil par
 
    Mere har dukh ko Tu yun mehsoos kya karti thi
 
    Dur hoke bhi Tu dur nahin thi mujh se
 
    Bezubani ki zuban meri samajhti thee Tu yun
 
    Janti thi wo jo kabhi mein ne kaha naa tujh se
 
    Duryan tujh mein aur mujh mein bohat thein lekin
 
    Muztarib mein thee yahan tou Tu thee bechain wahan
 
    Theis lagti thi idhar… tees uthti thi udhar
 
    Zakhm lagta tha yahan…dard hota tha wahan!
 
    Mein ne socha tha ke Tu jab bhi mileigi mujh ko
 
    Hue jo mujh pe sitam ye mein bataungi tujhe
 
    Tere mumta bhare seene mein chupa ke chehra
 
    Khub roungi mein… aur khub rulaungi tujhe
 
    Apne narm se hathon se Tu pocheigi mere ansoo
 
    Yun bare pyar se deigi Tu tasalli mujh ko
 
    Naa ro beti meri.. abhi to mein zinda hun
 
    Apne mamta bhare anchal mein samo leigi mujh ko
 
    Lekin aisa na hua Tu tou mujhe chor gayi
 
    Dhup ghum ki hai kari aur tera saaya bhi nahin!
 
    Tere jaane se yun zakhm mere cheekh uthe
 
    Unki dukhan jo kare kum, koi marham hi nahin!
 
    Ghum ki rahon mein koi aur sahara to na tha
 
    Tere milne ki umeed hi kaafi thee mujhe
 
    Zindagi pehle bhi mujh ko koi asaan na thi
 
    Tu nahin to ye zeest aur bhi mushkil hai mujhe!
 
    Mere ashkon ko hai haajat tere daaman ki
 
    Dil ke zakhmon ko hai mamta ke marham ki talab
 
    Yun museebat mein mujhe tanha Tu kyun chor gayi?
 
    Kuch to batlaa mujhe yun mun pher ke jane ka sabab!
 
    Dard seh kar mujhe hansna tha sikhaya Tu ne
 
    Har qadam par meri himmat ko barhaya Tu ne
 
    Sar utha ke mujhe jeena to sikaahya Tu ne
 
    BIN TERE KAISE JYUN? YE NAA BATAAYA TU NE!!!
 

    Yasmin Elahi
    My Blog
 
 
 
 
Click here to express your comments on the poetry of Yasmeen Elahi

You can also post you poetry at nidokidos forum - click here to register , click here to see other members postings in poertry section.
 

__._,_.___
Recent Activity:
===================================================
NidokidoS Group for best of forwarded mails
To join us , send an email to 
nidokidos-subscribe@yahoogroups.com


Be the part of Nidokidos , Join our Forum
http://www.nidokidos.org


to share your emails with us, send them at
nidokidos@yahoogroups.com

===================================================
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Re: [nidokidos] Request to Unsubscribe my ID from nidokidos

  Sent from my iPhone On 26 Dec 2019, at 19:27, m.massih@yahoo.com wrote:  Sent from my iPhone ...